hamāre  paas  thā  jo  kuchh  luTā  ke  baiTh  rahe
dayār-e-dil  meñ  qayāmat  uThā  ke  baiTh  rahe
vahāñ  jahāñ  par  añdheroñ  kā  kārvāñ  utrā
kisī  umiid  pe  sham.eñ  jalā  ke  baiTh  rahe
tumhāre  hijr  meñ  jo  kuchh  guzar  ga.ī  guzrī
tumhāre  vasl  meñ  ham  ghar  jalā  ke  baiTh  rahe
kahāñ  ke  dār-o-rasan  aur  kyā  shahīd-e-vafā
ye  kārobār  bhī  kal  phir  uThā  ke  baiTh  rahe
ḳhabar  na  thī  ki  zamāñ-āshkār  the  jo  kabhī
vo  parda-dār  to  chalan  girā  ke  baiTh  rahe
kaḌaktī  dhuup  meñ  dasht-e-safar  se  ghabrā  kar
fasīl-e-shahr  ke  saa.e  meñ  aa  ke  baiTh  rahe
zamāna  kuchh  to  kahe  un  se  jo  ba-hīla-e-dil
kisī  kī  bazm  se  ham  ko  uThā  ke  baiTh  rahe
girī  hai  ghar  kī  kaḌī  par  kaḌī  to  ghar  vaale
ġhubār-e-sharm  meñ  chehre  chhupā  ke  baiTh  rahe
vo  tifl-e-maktab-e-rasm-e-vafā  hamīñ  to  na  the
jo  apnī  yādoñ  kā  mela  lagā  ke  baiTh  rahe
hai  bāzgasht  hī  shāyad  mirī  fuġhāñ  kā  javāb
''ḳhudā''  to  apnī  hī  qabroñ  pe  jā  ke  baiTh  rahe
vo  nā-ḳhudā  the  zamāne  meñ  mo'atabar  jo  sadā
samundaroñ  meñ  safīne  bahā  ke  baiTh  rahe