Masood Qureshi

koi bhi KHud ko badalta nazar nahin aata

Masood Qureshi

koī bhī ḳhud ko badaltā nazar nahīñ aatā

azaab aa.egā Taltā nazar nahīñ aatā

zamīñ ko rok liyā hai kashish ne sūraj

ye din to raat meñ Dhaltā nazar nahīñ aatā

lage hai yuuñ ki uge haiñ daraḳht patthar ke

koī bhī phūltā phaltā nazar nahīñ aatā

dhuāñ bharā hai makāñ meñ sulagte haiñ dar-o-bām

makīñ to aañkh bhī maltā nazar nahīñ aatā

bapā hai jashn masīhā-nafas aamad par

marīz hai ki sambhaltā nazar nahīñ aatā

ubhārte haiñ hudī-ḳhvāñ pukārtī hai jaras

magar ye qāfila chaltā nazar nahīñ aatā

gire hai barq sar-e-tūr-o-dasht-e-sīnā par

koī shajar kahīñ jaltā nazar nahīñ aatā

Top Urdushayar.com