Masood Qureshi

azab hum pe jo nazil hua KHuda se na tha

Masood Qureshi

azaab ham pe jo nāzil huā ḳhudā se na thā

ki razā se muqaddar huā qazā se na thā

ye hāl-e-zār to āshob-e-āgahī se huā

ki gul-darīda-jigar mauja-e-sabā se na thā

khañDar to shahr-e-dil andar ke zalzaloñ se huā

ye zulm terī jafā tirī vafā se na thā

bikhre ga.e gul-e-nāzuk havā ke jhoñke se

gilā jo thā to nazākat se thā havā se na thā

dil-o-dimāġh pe thā iḳhtiyār ham ko bhī

hayāt par ye tasarruf tirā sadā se na thā

tirī hayāt khilaunā banī muqaddar

sabab ye hai ki tirā rābta ḳhudā se na thā

mujhe to jo bhī milā ā.ina-ba-dast milā

maiñ jabr-e-ġhair se thā ḳhud-nigar anā se na thā

Top Urdushayar.com