Masood Qureshi

tulu-e-subh se kab kab zawal-e-shab se hua

Masood Qureshi

tulū-e-sub.h se kab kab zavāl-e-shab se huā

jahāñ meñ nuur faqat barq-e-nutq-o-lab se huā

judā judā the bahut nek-nām ham donoñ

malāmatoñ hadaf haiñ milāp jab se huā

mile ho tum to huī qadr dil ko lamhoñ

guzar chukī hai bahut par hisāb ab se huā

har ek chāhne vaalā banā hai ḳhusrav-e-ġham

dayār-e-ishq meñ ye inqalāb kab se huā

lahū dhaar ko samjhe haqīr ḳhanjar se

zavāl sāhab-e-jānāñ isī sabab se huā

kisī adā ko sitam kah diyā kisī ko karam

ye iḳhtiyār dil-e-zār tum ko kab se huā

sajī haiñ dil meñ tumhāre karam tasvīreñ

idhar se ġham guzar bhī baḌe adab se huā

Top Urdushayar.com