Aziz Tamannai

karte rahe taaqub-e-ayyam umr-bhar

Aziz Tamannai

1926
karte rahe ta.āqub-e-ayyām umr-bhar
uḌtā rahā ġhubār bahar-gām umr-bhar
hasrat se dekhte rahe har ḳhush-ḳhirām ko
ham sūrt-e-tuyyur tah-e-dām umr-bhar
har-chand talḳh-kām thā har jur.a-e-hayāt
muñh se lagā.e baiThe rahe jaam umr-bhar
har shāḳh-e-nau-bahār thī ālūda-e-ġhubār
DhūñDā kiye nasheman-e-ārām umr-bhar
kuchh kaam aa sakīñ na yahāñ be-gunāhiyāñ
ham par lagā huā thā vo ilzām umr-bhar
detā rahā sadā.eñ hameñ duur duur tak
koī chhupā huā pas-e-asnām umr-bhar
bā-vasf-e-ehtiyāt 'tamannā.ī' ham rahe
pā-basta-e-salāsil-e-auhām umr-bhar
Top Urdushayar.com