suḳhan  ke  ā.inoñ  ko  paash  paash  karte  rahe
ham  apne  lafzoñ  meñ  ma.anī  talāsh  karte  rahe
lāvaToñ  se  raqīboñ  ne  jab  bhī  bahlāyā
mohabbatoñ  ke  sabhī  raaz  faash  karte  rahe
bachā  thā  kuchh  jo  ragoñ  meñ  lahū  tamannā  kā
usī  ko  bech  ke  hāsil  ma.āsh  karte  rahe
shikast-e-rañg  se  ḳhushbū  bhī  reza  reza  huī
chaman  meñ  ham  yahī  reze  talāsh  karte  rahe
anā  kī  raakh  hai  lipTī  huī  chaTTānoñ  se
ye  kaun  log  yahāñ  būd-o-bāsh  karte  rahe
bichhaḌ  ga.e  the  sar-e-shām  hī  jo  ham  se  'karam'
ham  un  sitāroñ  ko  shab-bhar  talāsh  karte  rahe