'hairat'  ke  dil  pe  vaar  kiyā  haa.e  kyā  kiyā
ḳhud  ko  bhī  be-qarār  kiyā  haa.e  kyā  kiyā
mujh  ko  na  thā  ḳhud  apnī  nigāhoñ  pe  e'tibār
aur  us  ne  e'tibār  kiyā  haa.e  kyā  kiyā
jitnā  hī  maiñ  ḳharāb  huā  nā-tavāñ  huā
utnā  hī  us  ne  pyaar  kiyā  haa.e  kyā  kiyā
maiñ  us  se  bad-gumāñ  rahā  uf  ai  fareb-e-ishq
aur  us  ne  mujh  ko  pyaar  kiyā  haa.e  kyā  kiyā
hañs  hañs  ke  apnā  dāman-e-rañgīñ  diyā  mujhe
aur  maiñ  ne  taar  taar  kiyā  haa.e  kyā  kiyā
miltā  thā  ik  nazar  se  mirī  ruuh  ko  qarār
us  ne  bhī  be-qarār  kiyā  haa.e  kyā  kiyā