junūñ  kā  mire  imtihāñ  ho  rahā  hai
sukūñ  aaj  bār-e-girāñ  ho  rahā  hai
chamakne  lage  merī  nazroñ  meñ  zarre
sitāroñ  kā  chehra  dhuāñ  ho  rahā  hai
gunāhoñ  se  bojhal  jabīñ  kī  badaulat
tirā  āstāñ  āstāñ  ho  rahā  hai
udhar  āsmāñ  par  chamaktī  hai  bijlī
mukammal  idhar  āshiyāñ  ho  rahā  hai
na  girdāb  o  tūfāñ  na  va.ade  muḳhālif
mirā  hausla  rā.egāñ  ho  rahā  hai
tirā  dard  ab  maiñ  samajhne  lagā  huuñ
mirā  dard  ab  be-zabāñ  ho  rahā  hai
ye  kyā  kam  hai  'hairat'  merī  kāmyābī
ki  ab  tak  mirā  imtihāñ  ho  rahā  hai