kivāḌ  band  bhī  hai  aur  nīm-vā  bhī  hai
vo  ruup  anuup  zarā  ḳhush  zarā  ḳhafā  bhī  hai
sharīk-e-rāh-e-vafā  gul-sarisht  māh-ba-kaf
qatīl-e-gardish-e-daurāñ  barahna-pā  bhī  hai
haqīqatoñ  se  fasānoñ  ko  kyā  ilāqa  hai
ḳhudā  nahīñ  bhī  hai  logo  magar  ḳhudā  bhī  hai
hujūm-e-naġhma-o-nik.hat  meñ  yuuñ  to  hotā  hai
ḳhatā  muaaf  ḳhatā  to  nahīñ  ḳhatā  bhī  hai
vahī  ġhazal  kī  rivāyāt-e-kāfirī  haiñ  abhī
vahī  hijāb  vahī  shoḳhī-e-adā  bhī  hai
ufuq  ufuq  abhī  insāñ  kī  manzileñ  haiñ  'vaqār'
usī  zamīñ  pe  magar  rāh-e-irtiqā  bhī  hai