aap  se  jhuk  ke  jo  miltā  hogā
us  kā  qad  aap  se  ūñchā  hogā
nukta-chīnoñ  pe  jo  hañstā  hogā
us  ko  apne  pe  bharosā  hogā
vo  jo  vīrān  phirā  kartā  hai
us  ke  sar  meñ  koī  sahrā  hogā
tum  na  samjhoge  mirī  baat  magar
sochne  vaalā  samajhtā  hogā
vo  jo  marne  pe  tulā  hai  'aḳhtar'
us  ne  jī  kar  bhī  to  dekhā  hogā