yuuñ  to  tanhā.ī  meñ  ghabrā.e  bahut
mil  ke  logoñ  se  bhī  pachhtā.e  bahut
aise  lamhe  ziist  meñ  aa.e  bahut
ham  ne  dhoke  jaan  kar  khaa.e  bahut
ye  nahīñ  ma.alūm  ki  kyā  baat  thī
ro  rahe  the  mere  ham-sā.e  bahut
tum  hī  batlā  do  ki  koī  kyā  kare
zindagī  jab  bojh  ban  jaa.e  bahut
ham  farāz-e-dār  tak  tanhā  ga.e
do  qadam  tak  log  saath  aa.e  bahut
shahr-e-ġham  jaisā  thā  vaisā  hī  rahā
yuuñ  jahāñ  meñ  inqalāb  aa.e  bahut
Dūbnā  'aḳhtar'  thā  qismat  meñ  likhā
vaise  ham  tūfāñ  se  Takrā.e  bahut