Asad Bhopali

gham-e-hayat se jab wasta paDa hoga

Asad Bhopali

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1920-1990
ġham-e-hayāt se jab vāsta paḌā hogā
mujhe bhī aap ne dil se bhulā diyā hogā
sunā hai aaj vo ġhamgīn the malūl se the
koī ḳharāb-e-vafā yaad aa gayā hogā
navāzisheñ hoñ bahut ehtiyāt se varna
mirī tabāhī se tum par bhī tabsirā hogā
kisī kā aaj sahārā liyā to hai dil ne
magar vo dard bahut sabr-āzmā hogā
judā.ī ishq kī taqdīr hī sahī ġham-ḳhvār
magar na jaane vahāñ un kā haal kyā hogā
bas aa bhī jaao badal deñ hayāt kī taqdīr
hamāre saath zamāne kā faisla hogā
ḳhayāl-e-qurbat-e-mahbūb chhoḌ dāman chhoḌ
ki merā farz mirī raah dekhtā hogā
bas ek nāra-e-rindāna ek jur.a-e-talḳh
phir us ke baad jo aalam bhī ho nayā hogā
mujhī se shikva-e-gustāḳhi-e-nazar kyuuñ hai
tumheñ to saarā zamāna hī dekhtā hogā
'asad' ko tum nahīñ pahchānte ta.ajjub hai
use to shahr kā har shaḳhs jāntā hogā
Top Urdushayar.com