tum  duur  ho  to  pyaar  kā  mausam  na  aa.egā
ab  ke  baras  bahār  kā  mausam  na  aa.egā
chūmūñgā  kis  kī  zulf  ghaTāoñ  ko  dekh  kar
ik  jurm-e-ḳhush-gavār  kā  mausam  na  aa.egā
chhalke  sharāb  barq  gire  yā  jaleñ  charāġh
zikr-e-nigāh-e-yār  kā  mausam  na  aa.egā
vāda-ḳhilāfiyoñ  ko  taras  jā.egā  yaqīñ
rātoñ  ko  intizār  kā  mausam  na  aa.egā
tujh  se  bichhaḌ  ke  zindagī  ho  jā.egī  tavīl
ehsās  ke  nikhār  kā  mausam  na  aa.egā