Rohit Soni Tabish

hawa-e-zindagi bhi kucha-e-qatil se aati hai

Rohit Soni Tabish

Gonda, Uttar pradesh, India

1988

havā-e-zindagī bhī kūcha-e-qātil se aatī hai

samajh is baat lekin zarā mushkil se aatī hai

yūñhī hotī nahīñ hai vus.at-e-fikr-o-nazar paidā

basārat meñ basīrat dar-haqīqat dil se aatī hai

kamāl-e-ishq yuuñ bhī kabhī andāz hotā hai

sū-e-parvāna sham.a chal ke ḳhud mahfil se aatī hai

ḳhayāloñ meñ ġham-e-sūd-o-ziyāñ kuchh bhī nahīñ rahtā

mohabbat ye ḳhūbī sa.i-e-lā-hāsil se aatī hai

vo aalam kaun aalam hai jo pinhāñ nahīñ mujh meñ

jo gosh-e-fikr ho ye sadā bhī dil se aatī hai

koī tūfān bas aane vaalā hai samundar meñ

ki is baat ḳhāmoshī-e-sāhil se aatī hai

nigāheñ qais yuuñ nahīñ haiñ mahv-e-nazzāra

ziyā lailā hai jo parda-e-mahmil se aatī hai

nahīñ aatī hai jab ye to kisī par bhī nahīñ aatī

magar aatī hai jab apnī tabī.at dil se aatī hai

nahīñ rahtā tafāvut jab visāl-o-hijr meñ kuchh bhī

ye manzil intizār-e-shauq meñ mushkil se aatī hai

lahū chhīñT tak qātil ke dāman par nahīñ koī

taḌapne adā aisī baḌī mushkil se aatī hai

Top Urdushayar.com