mujh  ko  talab  to  na.ī  duniyā  kī  hai
rāhbarī  naqsh-e-kaf-e-pā  kī  hai
bādiya-paimā.ī-e-vahshat  se  tañg
be-ufaqī  vus.at-e-sahrā  kī  hai
hai  vahī  maujūd  jo  hai  dīdanī
raa.e  yahī  dīda-e-bīnā  kī  hai
ghuur  rahī  hai  jise  pyāsī  nazar
shakl  vo  mai  kī  nahīñ  miinā  kī  hai
dil-kashī-e-pech-o-ḳham-e-pairahan
den  ḳham-o-pech-e-sarāpā  kī  hai
zulf-e-pareshāñ  ke  talavvun  meñ  bhī
ḳhūbī-e-tamkīñ  ruḳh-e-zebā  kī  hai
mujh  se  vo  hai  mujh  se  ziyāda  qarīb
ḳhvāhish-e-qurb  us  se  ziyāda  kī  hai
yuuñ  to  kināyoñ  kā  bhī  aadī  hai  daar
dil  kī  havas  is  ke  alāva  kī  hai
naqsh  meñ  nuqtoñ  ke  sivā  kuchh  nahīñ
shakl-garī  shauq-e-tamāshā  kī  hai
sabt  'muhib'  us  lab-e-jāñ-baḳhsh  par
tishna-labī  merī  tamannā  kī  hai