be-tahī  yahī  hogī  ye  jahāñ  kahīñ  hoñge
sat.h  kāTne  vaale  sat.h-āfrīñ  hoñge
āftāb  haT  jaa.e  jhilmilāne  vaale  hī
āsmān-e-vīrāñ  meñ  raunaq  āfrīñ  hoñge
zindagī  manāne  ko  vahm  bhī  ġhanīmat  haiñ
ham  bhī  vahm  hī  hoñge  vahm  agar  nahīñ  hoñge
ye  jatā  diyā  āḳhir  mujh  ko  mere  ajzā  ne
apne  aap  meñ  rahiye  varna  bas  hamīñ  hoñge
dil  mirā  mudabbir  hai  band-o-bast-e-ālam  kā
mas.ale  kahīñ  ke  hoñ  faisle  yahīñ  hoñge
mere  saath  aa.e  haiñ  mere  saath  jā.eñge
hoñ  jahāñ  qadam  mere  rāste  vahīñ  hoñge
vaqt  kī  savārī  par  jo  rukī  huī  hogī
fāsle  karūñgā  tai  jo  kahīñ  nahīñ  hoñge
rañg-o-nūr  partav  haiñ  jin  kī  tāb-kārī  ke
tīrgī  ke  vo  jalve  kitne  dil-nashīñ  hoñge
sochiye  to  sahrā  hai  Dūbiye  to  dariyā  hai
ek  din  'muhib'  sāhab  jis  ke  tah-nashīñ  hoñge