Muhib Aarfi

umr bhar jis pe takiya raha kuchh na tha dil nahin manta

Muhib Aarfi

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1919
umr bhar jis pe takiya rahā kuchh na thā dil nahīñ māntā
kyā karūñ tajzyoñ kā aTal faisla dil nahīñ māntā
kauñd kar ek lamha jo phir jā milā vaqt ke abr meñ
chhoḌ degī use vaqt kī māmtā dil nahīñ māntā
ghup-añdhere se letī hai kyūñ-kar janm raushnī kī lagan
ye karishma nahīñ hai kisī sham.a kā dil nahīñ māntā
ḳhushk hī kyuuñ na ho jaa.e dariyā mirā lahr ban ban ke maiñ
DhūñDhnā chhoḌ duuñ ḳhushkiyoñ kā sirā dil nahīñ māntā
apne markaz ko ik vahm samjhā kiyā aql kā dā.era
jis ko kuchh apne dām-e-kashish ke sivā dil nahīñ māntā
us kī tasvīr ko dekhte dekhte ye huā kyā mujhe
ya.anī behis hai tasvīr kī har adā dil nahīñ māntā
dil meñ kuchh hai zabāñ se nikaltā hai kuchh baat aisī hai kuchh
merā matlab 'muhib' koī pā jā.egā dil nahīñ māntā
Top Urdushayar.com