umr  bhar  jis  pe  takiya  rahā  kuchh  na  thā  dil  nahīñ  māntā
kyā  karūñ  tajzyoñ  kā  aTal  faisla  dil  nahīñ  māntā
kauñd  kar  ek  lamha  jo  phir  jā  milā  vaqt  ke  abr  meñ
chhoḌ  degī  use  vaqt  kī  māmtā  dil  nahīñ  māntā
ghup-añdhere  se  letī  hai  kyūñ-kar  janm  raushnī  kī  lagan
ye  karishma  nahīñ  hai  kisī  sham.a  kā  dil  nahīñ  māntā
ḳhushk  hī  kyuuñ  na  ho  jaa.e  dariyā  mirā  lahr  ban  ban  ke  maiñ
DhūñDhnā  chhoḌ  duuñ  ḳhushkiyoñ  kā  sirā  dil  nahīñ  māntā
apne  markaz  ko  ik  vahm  samjhā  kiyā  aql  kā  dā.era
jis  ko  kuchh  apne  dām-e-kashish  ke  sivā  dil  nahīñ  māntā
us  kī  tasvīr  ko  dekhte  dekhte  ye  huā  kyā  mujhe
ya.anī  behis  hai  tasvīr  kī  har  adā  dil  nahīñ  māntā
dil  meñ  kuchh  hai  zabāñ  se  nikaltā  hai  kuchh  baat  aisī  hai  kuchh
merā  matlab  'muhib'  koī  pā  jā.egā  dil  nahīñ  māntā