jo  zaḳhmoñ  se  apne  bahalte  raheñge
vahī  phuul  haiñ  shahd  ugalte  raheñge
ghaTā.eñ  uThīñ  saañp  vīrāniyoñ  ke
inhī  āstīnoñ  meñ  palte  raheñge
sharī.at  ḳhas-o-ḳhār  hī  kī  chalegī
alam  rañg-o-bū  ke  nikalte  raheñge
na.ī  bastiyāñ  roz  bastī  raheñgī
jinheñ  mere  sahrā  nigalte  raheñge
machalte  raheñ  raushnī  ke  patañge
diye  mere  kājal  ugalte  raheñge
ravāñ  har  taraf  zauq-e-pastī  rahegā
bulandī  ke  chashme  ubalte  raheñge
jise  saañs  lenā  ho  ḳhud  aaḌ  kar  le
ye  jhoñke  huā  ke  to  chalte  raheñge
ye  patte  to  ab  phuul  kyā  ho  sakeñge
magar  umr  bhar  haath  malte  raheñge
'muhib'  rāstī  hai  ibārat  kajī  se
mire  bal  kahāñ  tak  nikalte  raheñge