andar  to  ḳhayāloñ  ke  ho  aa.e  ḳhayāl  apnā
ifshā-e-haqīqat  se  Dartā  hai  savāl  apnā
kāġhaz  kī  sadāqat  huuñ  go  vaqf-e-kitābat  huuñ
safhoñ  se  ibārat  huuñ  khulnā  hai  muhāl  apnā
ā.īna  hai  zaat  apnī  ma.amūr  huuñ  jalvoñ  se
mastūr  hai  nazroñ  se  har  chand  jamāl  apnā
ḳhush  hai  ki  jo  TuuTī  hai  āḳhir  koī  shai  hogī
ḳhud  meñ  nazar  aatā  hai  shīshe  ko  jo  baal  apnā
parde  ne  kahā  mujh  ko  parde  ne  sunā  mujh  ko
naġhma  huuñ  samajhtā  huuñ  itnā  hī  kamāl  apnā
ġhunche  meñ  rahā  huuñ  maiñ  tinke  meñ  Dhalā  huuñ  maiñ
kirnoñ  kī  duā  huuñ  maiñ  sho.ala  hai  ma.aal  apnā
ai  ham-nazaro  Thahro  kyā  ho  jo  barāmad  ho
har  gosha-e-ḳhalvat  se  ik  naqsh-e-ḳhayāl  apnā
tah  sat.h  tak  aa  pahuñchī  ik  mauj  na  haath  aa.ī
kab  tak  ye  muhim  āḳhir  ab  khīñch  luuñ  jaal  apnā
ḳhushbū  se  'muhib'  khelo  kyā  uud  ko  rote  ho
is  ahd  kī  nazroñ  se  maḳhfī  hai  malāl  apnā