naqqād  apne  aap  kā  be-lāg  aisā  kaun  hai
honā  mirā  ik  vahm  hai  dekhūñ  ye  kahtā  kaun  hai
vo  āftāb-e-husn  hai  jalve  luTā.e  jā.egā
us  ko  ab  is  se  kyā  ġharaz  mushtāq  kitnā  kaun  hai
vahdat  hai  ye  bhī  dīdanī  maiñ  huuñ  nazar  vo  raushnī
go  ye  girah  khultī  nahīñ  ā.īna  kis  kā  kaun  hai
maiñ  apne  gumbad  kā  makīñ  saaya  sā  dekhā  Dar  gayā
ab  kyā  bitā.ūñ  kyā  sunā  jab  maiñ  ne  pūchhā  kaun  hai
bas  ik  havā  kā  pher  hai  vo  bhī  havā  ho  jā.egā
maiñ  sochtā  rah  jā.ūñgā  mujh  meñ  ye  mujh  sā  kaun  hai
merī  nazar  jis  par  paḌī  ik  rābtoñ  kā  Dher  thā
phir  vo  jo  apne  aap  ko  kahtā  hai  tanhā  kaun  hai
ab  fikr  is  kī  kījiye  duniyā  rahegī  yā  nahīñ
ab  is  ko  jaane  dījiye  duniyā  meñ  kaisā  kaun  hai
tah  kī  lagan  ik  Dhoñg  hai  bas  tairnā  aatā  nahīñ
tah  karne  vaalā  sat.h  ko  ye  shaḳhs  hotā  kaun  hai
ye  bazm-e-dānish  hai  'muhib'  tasvīr-e-nafs-e-mutma.in
is  bazm  meñ  chūn-o-charā  shā.er  kī  suntā  kaun  hai