Muhib Aarfi

saya jis ka nazar aata hai mujhe

Muhib Aarfi

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1919
saaya jis kā nazar aatā hai mujhe
vo bhī saaya nazar aatā hai mujhe
vo jo hotā hī chalā jaatā hai
kuchh na hogā nazar aatā hai mujhe
chaaT jaatī hai nazāroñ ko nazar
kyā kahūñ kyā nazar aatā hai mujhe
aa.ina phāñd gayā josh-e-junūñ
bilkul aisā nazar aatā hai mujhe
har likhā ḳhāma-e-dānā.ī kā
aaj ulTā nazar aatā hai mujhe
kyā ġhazab hai ki marā asl vajūd
aks merā nazar aatā hai mujhe
kyā qayāmat hai ki jaatā huā vaqt
idhar aatā nazar aatā hai mujhe
kahīñ ḳhushbū hai sunā.ī detī
kaheñ naġhma nazar aatā hai mujhe
biij bas apne shajar hone kā
ik irāda nazar aatā hai mujhe
be-musāfir hai safar pesh-e-nazar
zehn goyā nazar aatā hai mujhe
har gumāñ ek haqīqat hai 'muhib'
sach-much aisā nazar aatā hai mujhe
Top Urdushayar.com