saaya  jis  kā  nazar  aatā  hai  mujhe
vo  bhī  saaya  nazar  aatā  hai  mujhe
vo  jo  hotā  hī  chalā  jaatā  hai
kuchh  na  hogā  nazar  aatā  hai  mujhe
chaaT  jaatī  hai  nazāroñ  ko  nazar
kyā  kahūñ  kyā  nazar  aatā  hai  mujhe
aa.ina  phāñd  gayā  josh-e-junūñ
bilkul  aisā  nazar  aatā  hai  mujhe
har  likhā  ḳhāma-e-dānā.ī  kā
aaj  ulTā  nazar  aatā  hai  mujhe
kyā  ġhazab  hai  ki  marā  asl  vajūd
aks  merā  nazar  aatā  hai  mujhe
kyā  qayāmat  hai  ki  jaatā  huā  vaqt
idhar  aatā  nazar  aatā  hai  mujhe
kahīñ  ḳhushbū  hai  sunā.ī  detī
kaheñ  naġhma  nazar  aatā  hai  mujhe
biij  bas  apne  shajar  hone  kā
ik  irāda  nazar  aatā  hai  mujhe
be-musāfir  hai  safar  pesh-e-nazar
zehn  goyā  nazar  aatā  hai  mujhe
har  gumāñ  ek  haqīqat  hai  'muhib'
sach-much  aisā  nazar  aatā  hai  mujhe