Saima Jabeen Mahak

mere soe dil ko jagane lagi hai

Saima Jabeen Mahak

Talagang, Punjab, Pakistan

1986
mire so.e dil ko jagāne lagī hai
ye sahrā meñ bādal sajāne lagī hai
bichhā do sabhī phuul rāhoñ pe us ke
vo sāvan kī rut milne aane lagī hai
zamīñ se falak tak chhalaktā samāñ hai
havā meñ samundar uThāne lagī hai
kabhī girte patte kabhī uḌte patte
ye āñgan meñ halchal machāne lagī hai
baḌī ḳhūbsūrat hai bārish magar ye
ġharīboñ kī chhat kyuuñ girāne lagī hai
Tapaktā hai paanī shajar se hajar se
ye patthar bhī dekho rulāne lagī hai
huī ghar se ruḳhsat hai beTī kī Dolī
maañ bārish meñ aañsū chhupāne lagī hai
'mahak' dil thā āvāra panchhī havā kā
use ghar kā rasta dikhāne lagī hai
Top Urdushayar.com