Saima Jabeen Mahak

mere soe dil ko jagane lagi hai

Saima Jabeen Mahak

Talagang, Punjab, Pakistan

1986

mire so.e dil ko jagāne lagī hai

ye sahrā meñ bādal sajāne lagī hai

bichhā do sabhī phuul rāhoñ pe us ke

vo sāvan rut milne aane lagī hai

zamīñ se falak tak chhalaktā samāñ hai

havā meñ samundar uThāne lagī hai

kabhī girte patte kabhī uḌte patte

ye āñgan meñ halchal machāne lagī hai

baḌī ḳhūbsūrat hai bārish magar ye

ġharīboñ chhat kyuuñ girāne lagī hai

Tapaktā hai paanī shajar se hajar se

ye patthar bhī dekho rulāne lagī hai

huī ghar se ruḳhsat hai beTī Dolī

maañ bārish meñ aañsū chhupāne lagī hai

'mahak' dil thā āvāra panchhī havā

use ghar rasta dikhāne lagī hai

Top Urdushayar.com