Muneer Saifi

shab-e-visal tulua aaftab kaise hua

Muneer Saifi

Sasaram, Bihar, India

1953

shab-e-visāl tulūa āftāb kaise huā

zamīñ pe itnā baḌā inqalāb kaise huā

sitāra mū-e-badan ruḳh gulāb kaise huā

tumhārā jism havas kitāb kaise huā

laboñ se kaam burish liyā gayā hogā

ki añg añg tirā mehr-tāb kaise huā

zarūr laḌkiyāñ paanī meñ tairtī hoñgī

nahīñ to saarā samundar sharāb kaise huā

kahāñ se aa ga.e ḳhushiyoñ ke bāvre panchhī

ki mujh pe band har ik ġham baab kaise huā

ye kis ne chhīn bīnā.ī āsmānoñ se

zamīñ ke jism pe nāzil azaab kaise huā

kisī ne yaad ke kañkar zarūr pheñke haiñ

ḳhamosh jhiil meñ ye iztirāb kaise huā

ise samajhne ko ik umr chāhiye jānāñ

'munīr' asl meñ terā ḳharāb kaise huā

Top Urdushayar.com