aks-dar-aks  tamāshā  kyā  hai
aa.ina  aa.ina  jhūTā  kyā  hai
koī  aatā  koī  jaatā  kyā  hai
raat  aur  din  kā  tamāshā  kyā  hai
jis  tarah  aap  ga.e  chupke  se
koī  duniyā  se  yuuñ  jaatā  kyā  hai
maanā  duniyā  hai  baḌī  ḳhuub  baḌī
dil  kī  bastī  se  kushāda  kyā  hai
ye  tah-e-ḳhāk  hai  kaisā  mahshar
koī  mazlūm  taḌaptā  kyā  hai
mor  phir  naach  rahe  haiñ  har-sū
giit  jharnā  koī  gaatā  kyā  hai
merī  muTThī  meñ  hai  phir  bhī  'saifī'
merī  muTThī  meñ  zamāna  kyā  hai