ham  dil-e-zohra-vashāñ  meñ  ḳhāliq-e-andesh  haiñ
go  ḳharābātī  sahī  jibrīl  ke  ham-pesha  haiñ
pairvī-e-vā.izān-e-shahr  meñ  buzdil  haiñ  ham
aur  ġhazāloñ  kā  ta.āqub  ho  to  sher-e-besha  haiñ
jāniye  kyā  kyā  madārij  aur  bhī  karne  haiñ  tai
ham  abhī  zehn-e-ḳhudā-vandī  meñ  ik  andesha  haiñ
ḳhisht-o-sañg-e-nā-tarāshīda  se  ubhrā  ḳhadd-e-husn
mai-gusāroñ  kī  nigāheñ  haiñ  ki  zarb-e-tesha  haiñ
ham  nahīñ  haiñ  kohkan  lekin  hamārī  yādgār
vaqt  ke  koh-e-girāñ  par  kuchh  nuqūsh-e-tesha  haiñ