Sirajuddin Zafar

uTho zamane ke aashob ka izala karen

Sirajuddin Zafar

Jhelum, Punjab, Pakistan

1912-1972

uTho zamāne ke āshob izāla kareñ

ba-nām-e-gul-badnāñ ruḳh sū-e-piyāla kareñ

ba-yād-e-dīda-e-maḳhmūr pur-piyāla kareñ

uTho ki zahr phir zahr se izāla kareñ

vo rind haiñ na uThā.eñ bahār ehsāñ

varūd ham tirī ḳhalvat meñ be-havāla kareñ

kahāñ ke dair o haram aao ek sajda-e-shauq

bapā-e-hosh-e-rubāyān-e-bast-sāla kareñ

baras paḌe jo gulistāñ meñ us nazar se sharāb

bahak bahak ke ham aage subu-e-lāla kareñ

subū uThā ki gadāyān-e-kū-e-mai-ḳhāna

tire havāle mah-o-mehr qabāla kareñ

hadīs-e-zohd ho vārdāt-e-zahra-misāl

kisī ke naam ko ham zeb-e-har-maqāla kareñ

dikhā sahīfa-e-ruḳh is tarah ki ahl-e-bahār

varaq varaq ba-ḳhajālat bayāz-e-lāla kareñ

uTho jalā ke mai-e-surḳh se charāġh-e-abad

nashāt-e-sohbat-e-shab ko hazār-sāla kareñ

adā vo nīchī nigāhoñ hai ki jaise 'zafar'

talāsh-e-kunj-e-ġhazālān-e-ḳhurd-sāla kareñ

Top Urdushayar.com