Sirajuddin Zafar

hum aahuwan-e-shab ka bharam kholte rahe

Sirajuddin Zafar

Jhelum, Punjab, Pakistan

1912-1972

ham āhuvān-e-shab bharam kholte rahe

mīzān-e-dilbarī pe unheñ tolte rahe

aks-e-jamāl-e-yār bhī kyā thā ki der tak

ā.īne qumriyoñ tarah bolte rahe

kyā kyā thā hall-e-mas.ala-e-zindagī meñ lutf

jaise kisī band-e-qabā kholte rahe

pūchho na kuchh ki ham se ġhazālān-e-bazm-e-shab

kis shahr-e-dilbarī zabāñ bolte rahe

kal shab thā zikr-e-hūr bhī zikr-e-butāñ ke saath

zohd-o-safā idhar se udhar Dolte rahe

apnā bhī vazn kar na sake log aur ham

rūh-e-varā-e-rūh ko bhī tolte rahe

sarmāya-e-adab thī hamārī ġhazal 'zafar'

ash.ār-e-naġhz the ki guhar rolte rahe

Top Urdushayar.com