Asif Shafi

jamal-e-yar ko taswir karne wale the

Asif Shafi

Dahranwala, Punjab, Pakistan

1973

jamāl-e-yār ko tasvīr karne vaale the

ham ek ḳhvāb ta.abīr karne vaale the

shab-e-visāl vo lamhe gañvā diye ham ne

jo dard-e-hijr ko iksīr karne vaale the

kahīñ se TuuT gayā silsila ḳhayāloñ

ka.ī mahal abhī ta.amīr karne vaale the

aur ek din mujhe us shahr se nikalnā paḌā

jahāñ sabhī mirī tauqīr karne vaale the

hamārī dar-badarī par kise ta.ajjub hai

ham aise log taqsīr karne vaale the

jo lamhe biit ga.e haiñ tirī mohabbat meñ

vo lauh-e-vaqt par tahrīr karne vaale the

charāġh le ke unheñ DhūñDhiye zamāne meñ

jo log ishq tauqīr karne vaale the

vahī charāġh vafā bujhā ga.e 'āsif'

jo shahr-e-ḳhvāb ta.amīr karne vaale the

Top Urdushayar.com