Urooj Zehra Zaidi

jo nahin mumkin kabhi mumkin wo hona chahiye

Urooj Zehra Zaidi

jo nahīñ mumkin kabhī mumkin vo honā chāhiye
vo nahīñ merā mujhe to us kā honā chāhiye
aur to kuchh bhī nahīñ lekin sukūn-e-qalb ko
maañ ke pahlū kī tarah kā ik bichhaunā chāhiye
merā yūsuf ġhaib meñ hai aur maiñ rotī nahīñ
hijr kā mujh se taqāza hai ki ronā chāhiye
is mohabbat kā asal is ke sivā kuchh bhī nahīñ
umr aisī hai ki tum ko ik khilaunā chāhiye
din sunahrā hai to apne aap se mil lo zarūr
shām-tā-shab to faqat takiya bhigonā chāhiye
aaj fursat hai to 'zehrā' faisla ab ḳhud karo
chain khoyā niiñd khoī ab kyā khonā chāhiye
Top Urdushayar.com