jo  nahīñ  mumkin  kabhī  mumkin  vo  honā  chāhiye
vo  nahīñ  merā  mujhe  to  us  kā  honā  chāhiye
aur  to  kuchh  bhī  nahīñ  lekin  sukūn-e-qalb  ko
maañ  ke  pahlū  kī  tarah  kā  ik  bichhaunā  chāhiye
merā  yūsuf  ġhaib  meñ  hai  aur  maiñ  rotī  nahīñ
hijr  kā  mujh  se  taqāza  hai  ki  ronā  chāhiye
is  mohabbat  kā  asal  is  ke  sivā  kuchh  bhī  nahīñ
umr  aisī  hai  ki  tum  ko  ik  khilaunā  chāhiye
din  sunahrā  hai  to  apne  aap  se  mil  lo  zarūr
shām-tā-shab  to  faqat  takiya  bhigonā  chāhiye
aaj  fursat  hai  to  'zehrā'  faisla  ab  ḳhud  karo
chain  khoyā  niiñd  khoī  ab  kyā  khonā  chāhiye