Urooj Zehra Zaidi

manta nahin meri hujjaten bhi karta hai

Urooj Zehra Zaidi

māntā nahīñ merī hujjateñ bhī kartā hai
baat baat meñ apnī jiddateñ bhī kartā hai
aag bhī lagātā hai aap apne dāman meñ
phir use bujhāne ko bārisheñ bhī kartā hai
ishq ḳhud se hai us ko aur ḳhud hī vo pāgal
apnā aap khone kī sāzisheñ bhī kartā hai
dil meñ jiite rahne kī aas baḌhtī rahtī hai
saath saath marne kī ḳhvāhisheñ bhī kartā hai
jāñ-kanī ke aalam meñ yaad kar ke pyāroñ ko
maut ke farishte se mannateñ bhī kartā hai
mujh se thoḌā Dartā hai paas yuuñ nahīñ aatā
bāqiyoñ se to akasr ḳhalvateñ bhī kartā hai
mujh se kahtā rahtā hai ḳhush rahā karo naañ tum
aur dil dukhāne kī harkateñ bhī kartā hai
baat bhī nahīñ kartā mujh se aur phir apnī
ek ek aadat meñ mantiqeñ bhī kartā hai
kuchh alag sā hai sab se kuchh ajab vo hai 'zehrā'
apnī har mohabbat meñ shiddateñ bhī kartā hai
Top Urdushayar.com