māntā  nahīñ  merī  hujjateñ  bhī  kartā  hai
baat  baat  meñ  apnī  jiddateñ  bhī  kartā  hai
aag  bhī  lagātā  hai  aap  apne  dāman  meñ
phir  use  bujhāne  ko  bārisheñ  bhī  kartā  hai
ishq  ḳhud  se  hai  us  ko  aur  ḳhud  hī  vo  pāgal
apnā  aap  khone  kī  sāzisheñ  bhī  kartā  hai
dil  meñ  jiite  rahne  kī  aas  baḌhtī  rahtī  hai
saath  saath  marne  kī  ḳhvāhisheñ  bhī  kartā  hai
jāñ-kanī  ke  aalam  meñ  yaad  kar  ke  pyāroñ  ko
maut  ke  farishte  se  mannateñ  bhī  kartā  hai
mujh  se  thoḌā  Dartā  hai  paas  yuuñ  nahīñ  aatā
bāqiyoñ  se  to  akasr  ḳhalvateñ  bhī  kartā  hai
mujh  se  kahtā  rahtā  hai  ḳhush  rahā  karo  naañ  tum
aur  dil  dukhāne  kī  harkateñ  bhī  kartā  hai
baat  bhī  nahīñ  kartā  mujh  se  aur  phir  apnī
ek  ek  aadat  meñ  mantiqeñ  bhī  kartā  hai
kuchh  alag  sā  hai  sab  se  kuchh  ajab  vo  hai  'zehrā'
apnī  har  mohabbat  meñ  shiddateñ  bhī  kartā  hai