sau  bātoñ  kī  baat  hai  pyāre  vo  jo  zaat  meñ  hotī  hai
har  insān  kī  izzat  us  ke  apne  haat  meñ  hotī  hai
koī  ajab  sā  pahlū  hai  jo  dil  meñ  ghar  kar  jaatā  hai
koī  alag  sī  baat  hai  jo  us  kī  har  baat  meñ  hotī  hai
us  kī  yaad  bhī  us  kī  tarah  ulTe  vaqtoñ  aatī  hai
shaam  Dhale  tak  duur  rahe  aur  paas  vo  raat  meñ  hotī  hai
kisī  se  jhūTe  va.ade  karnā  dhokā  denā  hotā  hai
ġhalatī  to  vo  hai  merī  jaañ  jo  jazbāt  meñ  hotī  hai
'zehrā-zaidī'  aap  use  āḳhir  kyuuñ  maan  nahīñ  letīñ
ishq  to  rahmat  hai  aur  rahmat  kab  ḳhairāt  meñ  hotī  hai