Shaukat Fahmi

dast-e-zaruriyat mein baTta chala gaya

Shaukat Fahmi

1965
dast-e-zarūriyāt meñ baTtā chalā gayā
maiñ be-panāh shaḳhs thā ghaTtā chalā gayā
pīchhe haTā maiñ rāsta dene ke vāste
phir yuuñ huā ki raah se haTtā chalā gayā
ujlat thī is qadar ki maiñ kuchh bhī paḌhe baġhair
aurāq zindagī ke palaTtā chalā gayā
jitnī zyāda āgahī baḌhtī ga.ī mirī
utnā darūn-e-zāt simaTtā chalā gayā
kuchh dhuup zindagī kī bhī baḌhtī chalī ga.ī
aur kuchh ḳhayāl-e-yār bhī chhaTtā chalā gayā
ujḌe hue makān meñ kal shab tirā ḳhayāl
aaseb ban ke mujh se lipaTtā chalā gayā
us se ta.alluqāt baḌhāne kī chaah meñ
'fahmī' maiñ apne-āp se kaTtā chalā gayā
Top Urdushayar.com