Akhlaq Ahmad Ahan

ye ghaza hai kajal hai ubTan hai kya hai

Akhlaq Ahmad Ahan

Bagaha, Bihar, India

1974
ye ġhāza hai kājal hai ubTan hai kyā hai
ye rañg-e-hinā dāġh-e-dāman hai kyā hai
laTak hai maTak hai jhaTak hai adā hai
khaTak hai dhaḌak hai ki dhaḌkan hai kyā hai
hayā kī bahāreñ haiñ ra.anā.iyoñ par
ye jalva hai mastī hai joban hai kyā hai
ye phailī huī ḳhushbuoñ kī ghaTā.eñ
ye gesū hai kākul hai uljhan hai kyā hai
tabassum kī bijlī qayāmat kī shoḳhī
ye bārāñ hai bādal hai kaḌkan hai kyā hai
jo sāz-e-sitam har taraf baj rahā hai
vo paa.el hai chūḌī hai kañgan hai kyā hai
ye kaisī jagah hai ki dil kho rahā hai
bayābāñ hai sahrā hai gulshan hai kyā hai
kahūñ maiñ kabhū sher aisā to kahiye
sharārat hai laġhzish hai bhaTkan hai kyā hai
junūñ kā asar 'āhan' be-navā par
ye jaadū hai Tonā hai bandhan hai kyā hai
Top Urdushayar.com