ḳhudā  kare  to  kisī  raaz  kā  amiiñ  na  bane
gumāñ  gumāñ  hī  rahe  aur  kabhī  yaqīñ  na  bane
tujhe  ye  shauq  ki  parvāz  ho  buland  apnī
mujhe  ye  Dar  ki  kabhī  āsmāñ  zamīñ  na  bane
ye  baat  aur  hai  koshish  hazār  kī  ham  ne
hamāre  sher  tumhārī  tarah  hasīñ  na  bane
ye  alamiya  hai  hamārā  ki  ham  ba-har-sūrat
tamāshā-gāh  rahe  aur  tamāsh-bīñ  na  bane
ajab  vo  ġhurbat-e-dīvār-o-bār-o-dar  thī  ki  ham
makān  meñ  rahe  lekin  kabhī  makīñ  na  bane
uThāo  haath  duā  ko  to  ehtiyāt  rahe
ye  haath  uTh  ke  kabhī  nañg-e-āstīñ  na  bane