tumhārī  bazm  meñ  mahrūm-e-jām  ham  bhī  the
faqat  raqīb  nahīñ  tishna-kām  ham  bhī  the
faqīh-e-shahr  ne  gumrāh  kar  diyā  varna
sifat-shanās  halāl-o-harām  ham  bhī  the
amāma-band-o-qabā-poshgāñ  kā  zikr  hī  kyā
tire  huzūr  meñ  bā-ehtirām  ham  bhī  the
shikasta-pā.ī-e-mīr-e-safar  kā  kyā  shikva
ki  rāh-e-shauq  meñ  kuchh  sust-e-gām  ham  bhī  the
tirī  jafāoñ  ne  āzād  kar  diyā  varna
tirī  adāoñ  ke  adnā  ġhulām  ham  bhī  the
nigāh-e-ḳhās  ne  yak-laḳht  kar  diyā  zinda
vagarna  kushta-e-dastūr-e-ām  ham  bhī  the