un  se  iqrār-e-vafā  kī  aarzū  karte  rahe
umr-bhar  ik  be-zabāñ  se  guftugū  karte  rahe
jis  taraf  nazreñ  uThīñ  ik  ajnabī  chehra  milā
ā.ina-ḳhāne  meñ  apnī  justujū  karte  rahe
tum  se  mil  kar  bhī  rahā  ham  ko  tumhārā  intizār
tum  ko  pā  kar  bhī  tumhārī  aarzū  karte  rahe
kaun  jaane  rūnumā  huuñ  kaun  sī  jānib  se  vo
is  liye  sajde  pe  sajda  chār-sū  karte  rahe
husn  kī  gahrā.iyāñ  tasvīr-dar-tasvīr  thiiñ
aa.ina  ham  aa.ine  ke  rū-ba-rū  karte  rahe
zindagī  pābandiyoñ  kā  naam  thī  lekin  'razā'
ham  to  zanjīroñ  ko  bhī  zeb-e-gulū  karte  rahe