pūchhte  ho  mire  ash.ār  meñ  kyā  rakkhā  hai
ek  mahshar  hai  ki  lafzoñ  meñ  chhupā  rakkhā  hai
muddateñ  ho  ga.iiñ  dekhe  hue  ā.īna  hameñ
ek  tasvīr  kī  tasvīr  meñ  kyā  rakkhā  hai
vahī  badle  hue  tevar  vahī  kal  kā  va.ada
is  liye  ham  ne  tirā  naam  ḳhudā  rakkhā  hai
aaj  tak  nāḳhun-e-fitrat  haiñ  lahū  se  rañgīñ
merī  taḳhlīq  se  hāthoñ  ko  sajā  rakkhā  hai
aur  kuchh  ho  ki  na  ho  ghar  meñ  ujālā  to  rahe
ik  diyā  ham  ne  umīdoñ  kā  jalā  rakkhā  hai