Fay Seen Ejaz

umr bhar ek si uljhan to nahin ban sakte

Fay Seen Ejaz

Delhi, India

1948
umr bhar ek sī uljhan to nahīñ ban sakte
dost ban jaa.eñ ki dushman to nahīñ ban sakte
ham ko ma.alūm hai tum kyā nahīñ ban paate ho
dhuup ban jaate ho sāvan to nahīñ ban sakte
maiñ ne dekhā hai vo insān tumhāre andar
raam ban jāoge rāvan to nahīñ ban sakte
naqd sāñsoñ ke liye dil se mohabbat karnā
ham kabhī qarz kī dhaḌkan to nahīñ ban sakte
har shikan aaj hai bistar kī tumhārī ḳhātir
tum mire chain ke dushman to nahīñ ban sakte
roz ik jaisī adākārī na hogī ham se
tum bhī ik raat kī dulhan to nahīñ ban sakte
ek jaisī to nahīñ hotī hai saarī duniyā
sab tire ruup kā darpan to nahīñ ban sakte
maiñ hī ban jā.ūñgā kuchh der ko un ke jaisā
mere bachche mirā bachpan to nahīñ ban sakte
haq talab karte haiñ baḳhshish to nahīñ māñgte haiñ
ham tirī bhiik kā bartan to nahīñ ban sakte
Top Urdushayar.com