Jaleel Saz

ek manzar-e-fareb-e-mohabbat hai pyar hai

Jaleel Saz

ik manzar-e-fareb-e-mohabbat hai pyaar hai
chehre batā rahe haiñ diloñ meñ ġhubār hai
maiñ sun rahā huuñ baḌhtī huī shorishoñ kī chaap
duniyā samajh rahī hai fazā sāzgār hai
chal mere saath aur qadam tol tol kar
sabr-o-razā kī raah baḌī pechdār hai
din aaj kā sukūñ se guzar jaa.e fikr kar
har aane vaale kal kā kise e'tibār hai
is aas ko sambhāl ke fānūs-e-dil meñ rakh
jis aas par hayāt kā dār-o-madār hai
tartīb de rahe haiñ charāġhoñ kī anjuman
vo log sub.h-e-nau kā jinheñ intizār hai
ai 'sāz' kuchh-na-kuchh to hai is lutf-e-ḳhās meñ
zikr un kī anjuman meñ mirā baar baar hai
Top Urdushayar.com