Khwaja Razi Haidar

kaisi hai ajab raat ye kaisa hai ajab shor

Khwaja Razi Haidar

Karachi, Sindh, Pakistan

1946

kaisī hai ajab raat ye kaisā hai ajab shor

sahrā nahīñ ghar bhī machātā hai ajab shor

ik dard āñdhī mujhe rakhtī hai hirāsāñ

ik aas jhoñkā bhī uḌātā hai ajab shor

raushan hai kisī aañkh meñ tārīkī-e-ahvāl

ik tāq-e-tamannā meñ dahaktā hai ajab shor

ik shaḳhs mire ā.ina-e-dil ke muqābil

ḳhāmosh hai lekin pas-e-chehra hai ajab shor

aatī hai bahut duur se pāzeb āvāz

phir merī samā.at meñ chahaktā hai ajab shor

maiñ zabt ko har ruḳh se sipar kartā huuñ lekin

āñkhoñ se mirī jhāñktā rahtā hai ajab shor

shāyad tirā hissa hai kināre ḳhamoshī

ma.alūm tujhe kyā tah-e-dariyā hai ajab shor

Top Urdushayar.com