Khwaja Razi Haidar

sar-nigun dil ki tarah dast-e-dua ho bhi chuke

Khwaja Razi Haidar

Karachi, Sindh, Pakistan

1946
sar-nigūñ dil kī tarah dast-e-duā ho bhī chuke
silsile jin ke judā the vo judā ho bhī chuke
dasht meñ aayā nahīñ nāqa-e-mahmil-bar-dosh
naqsh kuchh sūrat-e-naqsh-e-kaf-e-pā ho bhī chuke
naḳhl-e-ummīd rahā phir bhī numū se mahrūm
jab ki mausam ka.ī āġhosh-kushā ho bhī chuke
ek be-nām sī hasrat hai badan meñ baaqī
jis qadar qarz the shab ke vo adā ho bhī chuke
ḳhvāhish-e-uqda-kushā.ī pe nadāmat kaisī
rasm-e-nāḳhun se ḳhafā band-e-qabā ho bhī chuke
ab to bas ek tasalsul hai ta.alluq kā darāz
imtihāñ ho bhī chukā va.ade vafā ho bhī chuke
kab tak ai bād-e-sabā tujh se tavaqqo.a rakkhūñ
dil tamannā kā shajar hai to harā ho bhī chuke
maiñ to ik guuñj meñ zinda huuñ sar-e-bazm 'razī'
jin ko honā thā yahāñ naġhma-sarā ho bhī chuke
Top Urdushayar.com