Khwaja Razi Haidar

aaKHir suKHan tamam kiya is dua ke sath

Khwaja Razi Haidar

Karachi, Sindh, Pakistan

1946

āḳhir suḳhan tamām kiyā is duā ke saath

rahnā guloñ ke beach mahaknā havā ke saath

ik be-kanār hijr mirī ruuh meñ muqīm

ik be-panāh ḳhauf mirī iltijā ke saath

ik be-yaqīn raat mirī raat sharīk

ik be-dayār shaam dil-e-nā-rasā ke saath

ik barg-e-ḳhushk shāḳh se girne muntazir

aur merā jism kaañp rahā hai havā ke saath

sahrā meñ khīñchtī hai mujhe ḳhvāhish-e-qarār

sahrā ko khīñchtā huuñ maiñ zanjīr-e-pā ke saath

āñkhoñ meñ merī rañg ke dariyā utaar kar

chehre ko us ne pher liyā kis adā ke saath

dil girah-kushā.ī faqat shart hai 'razī'

khul jā.egā vo jism to band-e-qabā ke saath

Top Urdushayar.com