Khwaja Razi Haidar

qarz kya kya nazar pe nikle hain

Khwaja Razi Haidar

Karachi, Sindh, Pakistan

1946
qarz kyā kyā nazar pe nikle haiñ
jab bhī sair-o-safar pe nikle haiñ
jañgaloñ se guzarne vāloñ ke
rāste mere ghar pe nikle haiñ
naam pūchhā hai rāhgīroñ ne
jab kabhī rahguzar pe nikle haiñ
zaḳhm phūTe haiñ jā-ba-jā tan par
kyā shagūfe shajar pe nikle haiñ
kyā musībat hai shahr vāloñ par
rakh ke sāmān sar pe nikle haiñ
saath le kar kitāb yādoñ kī
ek lambe safar pe nikle haiñ
dasht-o-sahrā se ghūm-phir ke 'razī'
ab shanāsā Dagar pe nikle haiñ
Top Urdushayar.com