Khwaja Razi Haidar

charagh-e-bazm teri mansabi hai kitni der

Khwaja Razi Haidar

Karachi, Sindh, Pakistan

1946
charāġh-e-bazm tirī mansabī hai kitnī der
sharar-nazhād hai to zindagī hai kitnī der
havā-e-dahr bhī Thahrī hai fursatoñ kī harīf
tire ḳhayāl kī mohlat milī hai kitnī der
harīm-e-nāz se niklī to tere jism kī baat
zabān-e-ḳhalq-e-ḳhudā par rahī hai kitnī der
ujaaḌ deñge ye mausam ke garm-o-sard tujhe
misāl-e-sarv ye ḳhush-qāmatī hai kitnī der
savād-e-jāñ meñ mirī jaañ sabāt kis ko hai
ye terā qurb tirī dostī hai kitnī der
jhulas gayā hai badan hijr kī tamāzat se
tujhe ḳhabar bhī nahīñ ho chukī hai kitnī der
vo pūchhtā hai shab-o-roz mujh se qurbat meñ
ki qurbatoñ kā ye lamha 'razī' hai kitnī der
Top Urdushayar.com