koī  aañkh  chupke  chupke  mujhe  yuuñ  nihārtī  hai
mire  dil  meñ  ik  tamannā  kahīñ  sar  ubhārtī  hai
mirī  soch  kā  tarīqa  mirī  aañkh  kā  salīqa
yahī  shai  hai  tere  andar  jo  tujhe  sañvārtī  hai
na.e  shauq  kī  chamak  hai  kisī  mehmāñ  nazar  meñ
mirī  ruuh  meñ  utar  kar  mire  sar  ubhārtī  hai
mujhe  kuchh  dinoñ  se  us  se  baḌā  pyaar  mil  rahā  hai
kabhī  apne  dil  ko  vaare  kabhī  jaan  hārtī  hai
kabhī  juuḌā  khol  denā  kabhī  phir  se  bāñdh  lenā
mujhe  shak  sā  ho  chalā  hai  vo  mujhe  ubhārtī  hai
koī  guuñj  ban  ke  ab  tak  vo  hai  jism-o-jāñ  se  lipTī
ki  Thahar  Thahar  ke  ab  bhī  vo  mujhe  pukārtī  hai
ghane  ho  ga.e  ziyāda  jahāñ  chāñdnī  ke  saa.e
usī  dāman-e-shajar  meñ  vo  mujhe  pukārtī  hai
nayā  husn  dekhtā  huuñ  ḳham-e-shāḳh-e-har-shajar  par
ye  bahār  apne  tan  se  jo  libās  utārtī  hai
ka.ī  saal  kī  mohabbat  magar  aaj  bhī  vahī  hai
ki  maiñ  ik  sharīr  bachcha  vo  mujhe  sudhārtī  hai
baḌī  der  se  huuñ  lauTā  mujhe  ye  batāo  logo
mirī  aarzū  kā  dāman  vo  kahāñ  pasārtī  hai
jo  marā  hai  hādse  meñ  mirā  us  se  kyā  thā  rishta
ye  saḌak  jo  ḳhuuñ  meñ  tar  hai  mujhe  kyuuñ  pukārtī  hai